Budgies Ki Types Aur Price In Pakistan 

Budgies, jinhein parakeets bhi kaha jata hai, bohat hi pyare aur khubsurat parinday hain.Budgies bohat hi samajhdar aur pyar bhare hotay hain. Budgies ko asaani se training di ja sakti hai, aur yeh chhoti commands bhi samajh jatay hain. In sab khususiyaat ki wajah se budgies na sirf ek accha pet hain balki ghar ka aik hissa ban jatay hain. Yahn Budgies kuch types hain.

May 26, 2024 - 11:18
May 27, 2024 - 09:30
 0  298
Budgies Ki Types Aur Price In Pakistan 
Budgies Ki Types Aur Price In Pakistan 

Budgies, jinhein parakeets bhi kaha jata hai, bohat hi pyare aur khubsurat parinday hain.Budgies bohat hi samajhdar aur pyar bhare hotay hain. Budgies ko asaani se training di ja sakti hai, aur yeh chhoti commands bhi samajh jatay hain. In sab khususiyaat ki wajah se budgies na sirf ek accha pet hain balki ghar ka aik hissa ban jatay hain. Yahn Budgies kuch types hain.

Wild Budgies 
Wild Budgies do colors me identify keay jaty hain. Blue  aur Green Color. In ki blood line strong hony ki waja se  immunity bht strong hoti ha. Is leay in pe mosmi change ka asr bht km  hota hai. Agr in eggs ki bat ki jy to ye 8- 9 eggs  hatch kr k dy skty hain. Market me ye   Rs.500_ 600   me easily  available hain.

Spangle Budgies  
Spangle Budgies different colors me hoty hain. Wild  Budgies me ap ko srf 2 colors  mily gy  jb k Spangle Budgies me  light shade me  different colors combination mily ga. Is ki immunity bhi achi hoti hai.  Spangle Budgies 5- 6 egg hatch  kr skty hain. Market rate ki bat ki jy to ye Rs. 600- 700  me easily mil jy gy.

Pied Budgies 
In Budgies pe white color pe different black spot mily gy. Ye zaroori nhi hai Pied Budgies ka color apny parents Budgies jysa ho . In ki immunity bhi bht strong hoti hai ye bhi ak waqt me 5-6 eggs hatch kr skty hain. Ab bt kry agr in ki Market price ki to ye Rs. 700-800 hai jo k wild Budgies aur spangle Budgies se Rs. 100-150  expensive hoty hai.

Red eyes Budgies 
Red eyes Budgies me 3 trhan ki types ati hain.
     Lutino red eyes
Is me ap ko dark yellow shade mily ga.

      Albino red eyes 
Ye budgies pure white color k hoty hain 

           Cremino red eyes
Pale white color me hoty hain.

In Budgies ki khasit in ki eyes hain jo k red color ki hoti hain. In ki blood line weak hony ki waja se immunity bht km hoti hai . Kisi bhi disease k attack  se in k death chances bht high hoty hain. In ki egg lying capacity wild Budgies k muqably me km hoti hai. Market rate in ka Rs.700-1200 tk jata hai . 
Tufted Budgies
Tufted budgies me ap ko un k head pe half crust nzr ay ga  jo k head se agy ki trf nikla ho ga. Ayse budgies ko hm tufted budgies khty hain. In immunity bht achi hoti hai. In ki egg laying capacity 5-6 hai. In ki Market  price Rs. 1000-1400 hai.

Crusted Budgies 
In me ap ko head pe umbrella type round structure nzr ay ga  ayse budgies jin k head pe ap ko round crust nzr ay unhai crusted Budgies khty hain. Is ki immunity strong hoti hai. Egg laying capacity 5-6 eggs hai. In ki Market price Rs. 1000 -1500 tk hai.

   
Back Frill Budgies 
In Budgies me single / double round  crust k sth back pr distrurbance nzr ay gi jis ki waja se hm is ko back frill khty hain. Is ka rate Rs. 1500-1700 hai.

Hogoromo Budgies 
In Budgies k wings pe flowers like pattern dekhny ko mily ga. In ki immunity bht strong hoti hai. Ye different colors me hoty hain e.g wild, spangle, pied, albino ,lutino, cremino in sb k colors ap ko mily gy. In me jo red eyes hain un ki egg laying capacity km ho gi. In ki Market price Rs. 3500-4000 tk hai . Lakin hogoromo red eyes ki price  Rs.5000- 10000 tk  hai.

King size Budgies 
Jysa k in k naam se hi wazya hai k ye baki budgies se superior hai to is ka size dusry Budgies ki nisbt bigger hota hai. In ka immunity system bht strong hota hai.Egg lying capacity is ki b 5-6 eggs hai. Agr hm is k rate ki bat kry to ye ap ko 1500 -3000 tk mil jy ga.

Exhibition budgies 
In me do trhan ki varaties ati hain
      Local Exhibition 
Ye budgies Pakistan me tyar kia ja rha hai  ye ap ko Rs. 5000-10000 tk mil jy ga.

      Uk Exhibition 
UK Exhibition ko hm show-class bhi bolty hain. Keu k in Budgies k srr pr heavy crust hota hai us ki neck pe bary bary spots hoty hain jihain hm neckless boty hain. Aur in ka size ap ko aam Budgies ki nisbt double nzr ay ga. Bird ka neckless jitna bara hot ga  utni us ki quality achi ho gi or utni zyada us ki Market price ho gi.
In ki immunity bhi thk hai aur 6-7 eggs lay kr laty hain. Lakin in k andr infertility k chances zyada hoty hain keu k in pe feather bht zyada hoty hain jis ki waja se ye properly mate ni kr paty . Is price Rs. 10000 - 1 lac tk ho skti hai.

Fellow budgies 
In Budgies ka color dusry Budgies ki trhan hi hota hai in ka head or wings bhi black color me ay gy lakin sth sth in ki eyes ka color red ho ga. Jis waja se hm isy fellow budgies khty hain. Immunity in ki red eyes ki nisbt kuch bhtr hai . Ye 5-6 eggs lay krty hain. Ye ap ko Rs. 1500 - 2500 tk easily market se mil jy ga.

TCB Budgies 
TCB abbreviations Texas Clear Body . American state " Texas" me inhai tyra kia gya hai. In Budgies me ap ko clear head k sth wings pe spots dekhny ko mily gy. In ki egg laying capacity bhi 5-6 eggs hai. Ye budgies market me kafi rare hain ye ap Rs. 3500 -7000 tk mil jy gy.

Black Budgies 
Black Budgies basically puri dunia me bht rare budgie hai aur ye different mutation se tyr kia gya hai. Is ki egg laying capacity bht zyada hai. Market me ye easily available ni hai is leay is k rate pe bt ni kr skty.

Feather -Duster Budgie
In Budgies pe ap ko bht sary curly hairs  dekhny ko mily gy. In ki immunity kafi weak hoti hai aur egg laying capacity bhi bht km hoti hai. Ye aysa budgie hai jo urr nhi skta . Isi waja se ye apni hatch se ly kr ak saal k andr andr mr jata hai.

What's Your Reaction?

like

dislike

love

funny

angry

sad

wow