Gal Ghotu (Hemorrhagic Septicemia)

Agar app k paas gaye ya bhains hain, toh apne shayad Gal Ghotu ka naam suna hoga. Yeh ek bohot tez failne wali aur jaanleva bimari hai jo zyadatar barsaat ke mausam mein hoti hai. Is bimari ko Hemorrhagic Septicemia (HS) bhi kaha jata hai. Agar iska waqt par ilaj na kiya jaye, toh bhains ya gaye  marr bhi sakti hai.

Mar 5, 2025 - 20:16
Mar 8, 2025 - 16:46
 0  34
Gal Ghotu (Hemorrhagic Septicemia)

Gal Ghotu (Hemorrhagic Septicemia) :

Agar app k paas gaye ya bhains hain, toh apne shayad Gal Ghotu ka naam suna hoga. Yeh ek bohot tez failne wali aur jaanleva bimari hai jo zyadatar barsaat ke mausam mein hoti hai. Is bimari ko Hemorrhagic Septicemia (HS) bhi kaha jata hai. Agar iska waqt par ilaj na kiya jaye, toh bhains ya gaye  marr bhi sakti hai.

Gal Ghotu Kya Hai Aur Kis Wajah Se Hota Hai?

Yeh bimari ek bacteria Pasteurella Multocida ki wajah se hoti hai jo janwaron ke respiratory system ko effect karta hai. Yeh zyadatar garmi ya barsaat ke dino mein hota hai, jab:

  • Weather change hota hai (garmi se sardii ya barsaat ka aana)
  • Pani aur chara ganda hota hai
  • Janwar stress mein hotay hain (zyada safar ya buri dekhbhaal ki wajah se)

Vaccination nahi hui hoti:

  • Gal Ghotu Ki Alamat:
  • Gala aur munh ka area sujna shuru ho jata hai
  • Janwar ki naak se pani ya khoon nikalna
  • Tez bukhar hota hona (105-107°F)
  • Janwar susti aur kamzori mehsoos karta hai
  • Saans lene mein mushkil 
  • Chalna mushkil ho jata hai, janwar gir bhi sakta hai


Behtareen Ilaj:

Gal Ghotu k leay commonly use hony wali kuch antibiotics ye hain

  • Penicillin + Streptomycin Injection
  • Oxytetracycline (Terramycin) Injection
  • Sulfa Drugs (Sulphadimidine 33%)


Prevention:

  • Har saal vaccination zaroor karwy (HS Vaccine 6 maheene ya 1 saal mein ek baar)
  • Ganda chara aur pani na dain, hamesha safai ka khayal rakhain
  • Agar janwar stress mein hai, usay relax rakhne ki koshish krain
  • Agar kisi ek janwar ko HS ho jaye, usay doosray janwaron se alag karo

What's Your Reaction?

like

dislike

love

funny

angry

sad

wow