Janwron mein Leptospirosis : cause, symptoms aur treatment

Leptospirosis ek bacteria “Leptospira” ki waja se hony wali disease hai jo janwron or insanon dono ko affect krti hai.

Aug 26, 2024 - 23:13
 0  53
Janwron mein Leptospirosis : cause, symptoms aur treatment

Leptospirosis :

Leptospirosis ek bacteria “Leptospira” ki waja se hony wali disease hai jo janwron or insanon dono ko affect krti hai. Leptospirosis ki waja insanon mein  fever, headache aur muscle pain ki symptoms dekhny ko milty hain.

Symptoms:

Leptospirosis ki waja se janwron mein hony wali kuch common symptoms:

ü  Fever:   Janwron k fever ho skta hai jo 39.4℃ se 40.6℃ tk ho skta hai.

ü  Nasal Discharge:  Janwron k naak se discharge ho skta hai. Ye fluid pus (thick, yellow ya green) hota hai.

ü  Red Eyes:  Janwron ki eyes red ho skti hain aur unmein swelling ho skti hai.

ü  Vomiting:  Janwron ko vomiting ho skti hai.

ü  Diarrhea:  Leptospirosis ki waja se janwron mein diarrhea ki shikayt ho skti hai>

ü  Abdominal Pain: Janwron ko abdominal pain ho skti hai jo pet drd ya discomfort ki waja bnta hai.

ü  Lethargy: Janwron ko lethargy ho skta hai jo un ki normal activity level mein kami ki waja bnta hai.

ü  Loss of appetite:   Janwor Khana khna km kr dy ga.

ü  Jaundice:  Janwron ko jaundice ho skta hai jis se un ki skin aur eyes mein peela rang ho jata hai.

 

 

Causes:

Janwron mein Leptospirosis ki wajah se hony wali disease ke kuch common wajohaat ye hain:

ü  Ganda Pain:  Gande pani mein nhana ya usy peena Leptospirosis ki waja bnta hai.

ü  Mitti mein bacteria:  Mitti mein bhi Leptospira bacteria ho skta hai jo janwron ko infect kr skta hai.

ü  Nasal Discharge:   Janwron ki nasal discharge mein bacteria ho skta hai jo healthy janwar ko affect kr skta hai.

ü  Feeding:   Maa k dhood se bachche infect ho skty hain agr maa khud Leptospira bacteria se infect ho.

Prevention:

Leptospirosis se bachny ke leay kuch tips:

ü  Vaccination:  Janwron ko Leptospirosis ke liye vaccine krwaye.

ü  Safai:   Janwron ke khane aur pani ko saaf rakhein. Aur un k bethny ki jagha ki saafi ka bhi khas khial rakhein.

Diagnosis:

Leptospirosis ka pta lgany k leay kuch steps leay ja skty hain:

 

ü  Blood Test:  Blood test se Leptospira bacteria ki presence ka pta lgya ja skta hai.

ü  Urine test:  Urine test se bhi Leptospira bacteria ki majodghi ka pta lgya ja skta hai.

ü  PCR (Polymerase Chain Reaction): PCR test se Leptospira bacteria ke khilaf antibiotic ki presence ka pta lgya jata hai.

ü  Physical Examination:  Physical examination se veterinary doctor janwar ki halat ka pt alga skty hain.

 

 

Treatment:

Leptospirosis ke ilaj k leay kuch tareeke:

ü  Antibiotics: Leptospirosis ke leay antibiotic istimal kr skty hai jaise ke Penicillin ya doxycycline.

ü  Fluid Replacement: Dehydration ko rokhny k leay fluid replacement kiye ja skty hain.

ü  Veterinary Care:   Janwron ko veterinary care ki zaroort prr skti hai.

Note:  veterinary doctor ki silah k bagyr kisi medicine ya antibiotic ka istimal na kry.

 

What's Your Reaction?

like

dislike

love

funny

angry

sad

wow