Pakistan mein Bakariyon ki Mashahur iqsam:
is article mein hm pakistan mein pai jany wali mashoor bakriyon k bary mein dekhy gy

Pakistan mein Bakariyon ki Mashahur iqsam:
1. Kamori bakari:
Sindh mein am, dudh dine ke liye mashahur.
2.Beetal Bakari
Punjab ki mashahur nasl, dudh or gosht ke liye.
3.Teddi Bakari:
Chhotay qad ki, ziyadah tar Punjab or Khyber Pakhtunkhwa mein pai jati hai.
4.Pothuri Bakari:
Pothohar ke alaqe mein am, gosht ke liye mashahur.
5.Macheri Bakari:
Balochistan mein am, saqht mosmi haalat ko bardasht karne wali.
6.Golden Gojari Bakari:
Khoobsurt rangt, dudh or gosht ke liye istamal ki jati hai.
Amm Bemariyan Aur UN Ka ilaj:
1. Munh or khuron ki Bemari (Foot and Mouth Disease):
Alamat:
- Munh mein chhale
- langara kar chalna
- bukhar
Bachao:
- Effected bakari ko alg rakhen.
- Vaccine ka istamal karin.
- Saf charah or pani muhia karin.
2. Gulti ki bemari (PPR - Peste des Petits Rumeinants):
Alamat:
- Bukhar
- Nak aur munh se pani bahna
Bachao:
- Salana vaccine lgwae.
- Effected bakariyon ko alg rakhen
3. Pyt ke Kede:
Alamat
- kamazor hona
- wazin mein kami
- bal rokhe hona
Bachao:
- di warmeing dawai din.
- chare ki safai yaqeeni banain.
4. Namoniya:
Alamat:
- Sans line mein mushkil
- Naak se gandha mawad aana
- khansi
Bachao:
- Sardi se bachain.
- khshak or saf jagah par rakhen.
5. jaldi bemaryan (Skin Diseases):
Alamat:
- kharsh
- jald par dane
Bachao:
- anti septic dawai istamal karin.
- safai ka khaas khayal rakhen.
Bachao ke amomi tariqe:
- bakariyon ko rahne ki jagah ko saf or khushak rakhen.
- mayari khurak or saf pani faraham karin.
- salana vaccine lgwain
- Bemari ki alamat par fori doctor se contact karin.
- bakariyon ko waqatan foqatan kede mar dawai dain.
ya ahtyati tadaber bakariyon ko saht mand rakhane or bemariyon se mahfooz rakhane mein madadgar saabat hon gi
What's Your Reaction?






