Qurbani Ke Janwor Ko Jaldi Farbah Karne Ka Qudarti Tariqah / Zaitoon ki Khal ka istimal

Zaitoon (olive) ki khal ka istimal qurabni k janwor  ki  healthy growth k leay kia jata hai. Is article mein hm Zaintoon ki khal us k fade or istimal k bary mein dekhy gy.

Feb 24, 2025 - 16:49
Mar 2, 2025 - 23:41
 0  31
Qurbani Ke Janwor Ko Jaldi Farbah Karne Ka Qudarti Tariqah / Zaitoon ki Khal ka istimal

Qurbani Ke Janwor Ko Jaldi Farbah Karne Ka Qudarti Tariqah 
Zaitoon (olive) ki khal ka istimal qurabni k janwor  ki  healthy growth k leay kia jata hai. Zyada tar log chahty hain k un ka qurbani ka janwor khubsurat or farbah nazr ay aur un me ghostt bhi zyada mily. Mostly log janwaron ko farbah krny k leay  chemicals wali diet ka istamal krty hain jo  janwar ki health ko effect krti hai. Lakin  natural tareqy se janwaron ko  farbah krny ka behtreen method  zaitoon ki khal ka istimal hai. 

Zaitoon Ki Khal Kiya Hay?
Zaitoon ki khal (Olive Cake) wo baqiyat hoti hain jo Zaitoon ke til nakalne ke bad bachti hain. ya protein, fiber, Qudarti chaknai, Vitamins aur minerals se bharpor hoti hay, jo janwaron ki behtarin nashunuma min madad dyti hay. Zaitoon ki khal ko janwaron ke chare ke tur par istamal karna ek rawayati or aazmudah tariqah hay, jo na sarf sasta hay balkay gazaiat se bharpor bhi hay.

Zaitoon ki khal qarbani ke janwor ko kise farbah karti hay?
1. Qudarti Chaknai Aur  Wazin min Azafah
Zaitoon ki khal min Qudarti chiknai hoti hay, jo janwor ki body  min saht mand tariqe se charbi peda karti hay or is ka wazn tyzi se badhati hay. Ya chiknai janwor ke gosht ko bhi ziyadah lazeez or narm banati hay.
2. Aala Mayar ki Protein
Protein har janwor ki nashunuma ke liye zarori hoti hay. Zaitoon ki khal min mojud protein pathon ki mazbooti min madad diti hay or janwor ko taqtwor banati hay, jis se wo ziyadah saht mand or tawana nazar aata hay
3. Jild or Balon ki Chamak
Zaitoon ki khal min ese Qudarti ajza hote hen jo janwor ki jild ko chamakdar or balon ko ghana or saht mand banate hen. is se qurbani ke janwor ki khoobsurti min azafah hota hay or wo market min ziyadah qeemt par farokht ho sakta hay
4. Hazme ki Behtari
Zaitoon ki khal min mojud fiber janwor ke hazme ko behtar banata hay, jis se khurak behtar tariqe se hazam hoti hay or ziyadah gazaiat haasil hoti hay. Is ka natijah janwor ke wazin min tyzi se azafe ki surt min niklta hay.

5. Qudarti Anti Oxidents
Zaitoon ki khal min Qudarti anti oxidents mojud hote hain jo janwor ko bemariyon se mahfooz rakhty hain or is ke immune system ko mazboot banate hain, jis se wo saht mand or chaq-o- choband rahta hay.
Zaitoon ki khal ko Janwor ki Khurak min Shamil Karne Ka Tariqah
   1. Rozana 2 se 3 kilogaram Zaitoon ki khal bade janwor (gaye, bel) ko
 or 1/2 se 1 kilogaram chhotay janwor (bakara, dumbah) ko di ja sakti hay.
   2. Zaitoon ki khal ko khushak bhi khilaya ja sakta hay or pani min bhigo kar bhi diya ja sakta hay taaky janwor ise aasani se kha sake.
   3. Behter nitaij ke liye Zaitoon ki khal ko degar charon jise charah, banolah, maki yaa jo ke sath mila kar khalaya ja sakta hay.
   4. Agar janwor pehli bar Zaitoon ki khal kha raha ho to ise aahistah aahistah khurak min shamil karin taaky wo is ka zaiqah apanane min aasani mehasos kare.
Results:
Agar aap chahte hain kah aap ka qurbani ka janwor Qudarti tariqe se jaldi farbah, saht mand or khoobsurt ho to Zaitoon ki khal behtarin hal hay. ya ek sasti, Qudarti or gazaiat se bharpor khurak hay jo janwaron ki nashunuma, wazin min azafe aur khoobsurti min madad diti hay. Is ke ilawo, Zaitoon ki khal janwor ke hazme or majmui saht ke liye bhi faidah mand hay. agar aap biyopari yaa kasan hain to Zaitoon ki khal ko janwaron ki khurak min shamil karke apane karobar min bhi faidah utha sakte hain.Aap ke qeemti qurbani ke janwor ki behtarin nashunuma, khoobsurti or wazin min azafe ke liye Zaitoon ki khal ka istamal zaror karin or Qudarti tariqe se apane janwor ko tqtwor banain!

.

What's Your Reaction?

like

dislike

love

funny

angry

sad

wow